Tum nay bhi sunee yahan kahee gaeein kaisee kaisee baatein Tum nay bhi sunay yahan kiye gaey kaisay kaisay waday Jhooti theein sab hee yahan kahee gaeein khushion ki jo baatein Jhotay thay sab hee yahan kiye gaey logoan say jo waday Dharti kay khuda bantay hain yahan Inn ko bhi zara koi de saza Muhron ki tarah kabhi chala rahay hotay hain woh hum ko Paani ki tarah kabhi baha rahay hotay hain woh hum ko Shammon ki tarah kabhi jala rahay hotay hain woh hum ko Lamhon ki tarah kabhi gawa rahay hotay hain woh hum ko Dharti kay khuda bantay hain yahan Inn ko bhi zara koi de saza --guitar solo-- Woh sitamgar hain unhain kya jeeain ya marain Ho sitam jo bhi ussay hum gawara karein Woh yehi chahain keh dam hum unhee ka bharain Hum jhukain aagay unhee kay unhee say darain Aatay hain sabhi yahan kabhi nahin jaaein gaey woh jaisay Kartay hain jafa koi saza nahin paaein gaey woh jaisay Unn say yeh kaho chalay gaey yahan kaisay kaisay aa keh Dharti kay khuda bantay hain yahan Inn ko bhi zara koi de saza Dharti kay Khuda inn ko do saza Dharti kay Khuda inn ko do saza Dharti kay Khuda Kartay kay Jafa Dharti kay Khuda inn ko do saza Dharti kay Khuda inn ko do saza Dharti kay Khuda Dharti kay Khuda yaayee